barha har shaKHs karta hai aman ki baat phir
bārhā har shaḳhs kartā hai aman kī baat phir
aisā lagtā hai ki hinsā kā huā hai ghaat phir
apne dushman ham hī ḳhud phir ban ga.e haiñ aaj se
aql par haavī hue haiñ nā-samajh jazbāt phir
aadmī le kar nizām-e-vaqt apne haath meñ
ḳhud ḳhudā banñe lagā kar ke ḳhudā kī baat phir
talḳhiyāñ taireñ agar āñkhoñ meñ kankar kī tarah
ho sakegī kaise nazroñ se nazar kī baat phir
pāgaloñ kī bhiiḌ meñ nāseh bhī dīvāna huā
kaun badlegā batāo vaqt ke hālāt phir
barha har shaKHs karta hai aman ki baat phir
aisa lagta hai ki hinsa ka hua hai ghat phir
apne dushman hum hi KHud phir ban gae hain aaj se
aql par hawi hue hain na-samajh jazbaat phir
aadmi le kar nizam-e-waqt apne hath mein
KHud KHuda banne laga kar ke KHuda ki baat phir
talKHiyan tairen agar aankhon mein kankar ki tarah
ho sakegi kaise nazron se nazar ki baat phir
pagalon ki bhiD mein naseh bhi diwana hua
kaun badlega batao waqt ke haalat phir
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 49)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.