bahut masum tha aasan bhi tha
bahut ma.asūm thā āsān bhī thā
tabhī to shaḳhs vo insān bhī thā
kabhī to zulm Dhaa.e zindagī ne
kabhī mujh par baḌā ehsān bhī thā
mujhe luuTā magar āgāh kar ke
sitam to thā magar īmān bhī thā
usī par umr bhar marte rahe ham
ki jiine kā vahī sāmān bhī thā
milan maanā ḳhushī kī intihā thā
bichhaḌne kā magar imkān bhī thā
bahut masum tha aasan bhi tha
tabhi to shaKHs wo insan bhi tha
kabhi to zulm Dhae zindagi ne
kabhi mujh par baDa ehsan bhi tha
mujhe luTa magar aagah kar ke
sitam to tha magar iman bhi tha
usi par umr bhar marte rahe hum
ki jine ka wahi saman bhi tha
milan mana KHushi ki intiha tha
bichhaDne ka magar imkan bhi tha
- Book : Gazal,Dushyant Ke Bad-volume-3
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.