banaya hai maine ye ghar dhire dhire
banāyā hai maiñ ne ye ghar dhīre dhīre
khule mere ḳhvāboñ ke par dhīre dhīre
kisī ko girāyā na ḳhud ko uchhālā
kaTā zindagī kā safar dhīre dhīre
jahāñ aap pahuñche chhalāñgeñ lagā kar
vahāñ maiñ bhī pahuñchā magar dhīre dhīre
pahāḌoñ kī koī chunautī nahīñ thī
uThātā gayā yuuñ hī sar dhīre dhīre
girā maiñ kahīñ to akele meñ royā
gayā dard se ghaav bhar dhīre dhīre
banaya hai main ne ye ghar dhire dhire
khule mere KHwabon ke par dhire dhire
kisi ko giraya na KHud ko uchhaala
kaTa zindagi ka safar dhire dhire
jahan aap pahunche chhalangen laga kar
wahan main bhi pahuncha magar dhire dhire
pahaDon ki koi chunauti nahin thi
uThata gaya yun hi sar dhire dhire
gira main kahin to akele mein roya
gaya dard se ghaw bhar dhire dhire
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 39)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.