band gharon ki diwaron ke andar bahar dhul
band gharoñ kī dīvāroñ ke andar bāhar dhuul
ā.īne par dhuul jamī hai aur chehre par dhuul
din bhar jin ke paane ko dil rahtā hai betāb
shaam kī āñdhī kar jaatī hai saare manzar dhuul
itnī sharārat kartī hai sab log kareñ tauba
barsāteñ aane se pahle shahr meñ aksar dhuul
dhuul meñ khele dhuul hī phāñkī dhuul hī un kā gaañv
dhuul hī un ke tan kī chādar un kā bistar dhuul
qistoñ meñ sab safar kiye haiñ qistoñ meñ ārām
duur ga.ī baiThī phir chal dī thoḌā ruk kar dhuul
band gharon ki diwaron ke andar bahar dhul
aaine par dhul jami hai aur chehre par dhul
din bhar jin ke pane ko dil rahta hai betab
sham ki aandhi kar jati hai sare manzar dhul
itni shararat karti hai sab log karen tauba
barsaten aane se pahle shahr mein aksar dhul
dhul mein khele dhul hi phanki dhul hi un ka ganw
dhul hi un ke tan ki chadar un ka bistar dhul
qiston mein sab safar kiye hain qiston mein aaram
dur gai baiThi phir chal di thoDa ruk kar dhul
- Book : Lafz Magazine-August To Octobar-2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.