be-hijab aap ke aane ki zarurat kya thi
be-hijāb aap ke aane kī zarūrat kyā thī
yuuñ mire hosh uḌāne kī zarūrat kyā thī
ham se kahnā thā Dubo dete safīna apnā
itne tūfān uThāne kī zarūrat kyā thī
jab se aayā huuñ maiñ bas mohr-ba-lab baiThā huuñ
mujh ko mahfil meñ bulāne kī zarūrat kyā thī
apne kirdār o amal par jo bharosa hotā
aap ke naaz uThāne kī zarūrat kyā thī
jaan lenī thī baḌe shauq se le sakte the
itne hiile kī bahāne kī zarūrat kyā thī
ashk-e-ḳhūñ ba.ad meñ sarshār bahāne the agar
ḳhūn-e-ushshāq bahāne kī zarūrat kyā thī
be-hijab aap ke aane ki zarurat kya thi
yun mere hosh uDane ki zarurat kya thi
hum se kahna tha Dubo dete safina apna
itne tufan uThane ki zarurat kya thi
jab se aaya hun main bas mohr-ba-lab baiTha hun
mujh ko mahfil mein bulane ki zarurat kya thi
apne kirdar o amal par jo bharosa hota
aap ke naz uThane ki zarurat kya thi
jaan leni thi baDe shauq se le sakte the
itne hile ki bahane ki zarurat kya thi
ashk-e-KHun baad mein sarshaar bahane the agar
KHun-e-ushshaq bahane ki zarurat kya thi
- Book : Harigandha (April-May-2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.