bikhri hui sanson ko qarina nahin aaya
bikhrī huī sāñsoñ ko qarīna nahīñ aayā
jind to milī par Thiik se jiinā nahīñ aayā
ashkoñ ko apne tum ne rihā.ī kyoñ nahīñ dī
hisse meñ mere koī nagīna nahīñ aayā
ḳhanjar udaas hai ki sabhī shar udaas haiñ
ab tak koī faulād kā siina nahīñ aayā
jo paḌh na paa.e tere us chehre kī udāsī
ye dost terā ho ke nā-bīnā nahīñ aayā
'ujlat meñ na raho chale jaane kī sanam tum
lamhoñ meñ chhan ke puurā mahīna nahīñ aayā
raushan charāġh thoḌā zor aur lagāo
gustāḳh havāoñ ko pasīna nahīñ aayā
bikhri hui sanson ko qarina nahin aaya
jind to mili par Thik se jina nahin aaya
ashkon ko apne tum ne rihai kyon nahin di
hisse mein mere koi nagina nahin aaya
KHanjar udas hai ki sabhi shar udas hain
ab tak koi faulad ka sina nahin aaya
jo paDh na pae tere us chehre ki udasi
ye dost tera ho ke na-bina nahin aaya
'ujlat mein na raho chale jaane ki sanam tum
lamhon mein chhan ke pura mahina nahin aaya
raushan charagh thoDa zor aur lagao
gustaKH hawaon ko pasina nahin aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.