charagh ho ke na ho dil jala ke rakhte hain
charāġh ho ke na ho dil jilā ke rakhte haiñ
ham āñdhiyoñ meñ bhī tevar balā ke rakhte haiñ
milā diyā hai pasīna bhale hī miTTī meñ
ham apnī aañkh kā paanī bachā ke rakhte haiñ
bas ek ḳhud se hī apnī nahīñ banī varna
zamāne bhar se hamesha nibhā ke rakhte haiñ
hameñ pasand nahīñ jang meñ bhī chālākī
jise nishāne pe rakhte batā ke rakhte haiñ
kahīñ ḳhulūs kahīñ dostī kahīñ pe vafā
baḌe qarīne se ghar ko sajā ke rakhte haiñ
charagh ho ke na ho dil jila ke rakhte hain
hum aandhiyon mein bhi tewar bala ke rakhte hain
mila diya hai pasina bhale hi miTTi mein
hum apni aankh ka pani bacha ke rakhte hain
bas ek KHud se hi apni nahin bani warna
zamane bhar se hamesha nibha ke rakhte hain
hamein pasand nahin jang mein bhi chaalaki
jise nishane pe rakhte bata ke rakhte hain
kahin KHulus kahin dosti kahin pe wafa
baDe qarine se ghar ko saja ke rakhte hain
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.