chha rahi hai duniya par aagahi ki tanwiren
chhā rahī haiñ duniyā par āgahī kī tanvīreñ
hañs rahī haiñ tadbīreñ ro rahī haiñ taqdīreñ
aalsī vichāroñ ke apne pañkh hote haiñ
un ko chhū nahīñ saktīñ sarhadoñ kī zanjīreñ
johd-e-haq kī manzil meñ muttahid milīñ akasr
qātiloñ kī shamshīreñ munsifoñ kī tahrīreñ
luuT ke tamaddun meñ jurm janm lete haiñ
rog haiñ ma.īshat ke kyā kareñgī ta.azīreñ
aao vaqt mauzūñ hai ab use badalne kā
ho rahī haiñ sadiyoñ se jis jahāñ kī tafsīreñ
chha rahi hain duniya par aagahi ki tanwiren
hans rahi hain tadbiren ro rahi hain taqdiren
aalsi wichaaron ke apne pankh hote hain
un ko chhu nahin saktin sarhadon ki zanjiren
johd-e-haq ki manzil mein muttahid milin akasr
qatilon ki shamshiren munsifon ki tahriren
luT ke tamaddun mein jurm janm lete hain
rog hain maishat ke kya karengi taziren
aao waqt mauzun hai ab use badalne ka
ho rahi hain sadiyon se jis jahan ki tafsiren
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.