dard duniya bhar ka sine mein liye jate hain hum
dard duniyā bhar kā siine meñ liye jaate haiñ ham
zindagī jiine kī majbūrī jiye jaate haiñ ham
apne dāman se chhuḌā ab kahte ġhairoñ kā huā
be-ḳhatā dohrī sazā.eñ bhī piye jaate haiñ ham
yuuñ to ye bāzār mahfil par sabhī vīrān haiñ
phir bhī vīrāne meñ āvāzeñ diye jaate haiñ ham
bah rahī haiñ har zabāñ par un kī zālim dāstāñ
phir bhī kuchh aisā ki hoñToñ ko siye jaate haiñ ham
ek taaza choT yuuñ barsī kī pahlī dhul ga.ī
is tarah se ġham ġhalat ġham se kiye jaate haiñ ham
dard duniya bhar ka sine mein liye jate hain hum
zindagi jine ki majburi jiye jate hain hum
apne daman se chhuDa ab kahte ghairon ka hua
be-KHata dohri sazaen bhi piye jate hain hum
yun to ye bazar mahfil par sabhi viran hain
phir bhi virane mein aawazen diye jate hain hum
bah rahi hain har zaban par un ki zalim dastan
phir bhi kuchh aisa ki honTon ko siye jate hain hum
ek taza choT yun barsi ki pahli dhul gai
is tarah se gham ghalat gham se kiye jate hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.