dawa to dawa hai dua bhi na dega
davā to davā hai duā bhī na degā
vo Thahrā sagā hausla bhī na degā
jo uñglī tirī thaam kar chal rahā hai
sahārā to kyā rāsta bhī na degā
ye tai thā vo ḳhanjar chalā.egā mujh par
magar kyā patā thā havā bhī na degā
ye munsif jo us ne muqarrar kiyā hai
sazā to sazā faisla bhī na degā
dalīleñ to hoñgī tire paas lekin
gavāhī tirī aa.ina bhī na degā
dawa to dawa hai dua bhi na dega
wo Thahra saga hausla bhi na dega
jo ungli teri tham kar chal raha hai
sahaara to kya rasta bhi na dega
ye tai tha wo KHanjar chalaega mujh par
magar kya pata tha hawa bhi na dega
ye munsif jo us ne muqarrar kiya hai
saza to saza faisla bhi na dega
dalilen to hongi tere pas lekin
gawahi teri aaina bhi na dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.