dekh li duniya tumhaari mehrbani dekh li
dekh lī duniyā tumhārī mehrbānī dekh lī
tum ne dī thī o ḳhudā vo zindagānī dekh lī
phuul se bachpan ke sir dekhā buḌhāpe kā pahāḌ
āñsuoñ kī aañch meñ galtī javānī dekh lī
chīḳhtī lapTeñ achānak sāmne uThne lagīñ
jab kisī ghar meñ koī laḌkī siyānī dekh lī
maañ ne bachpan meñ sunāyā jis ko lorī kī tarah
ab haqīqat meñ vo jañgal kī kahānī dekh lī
ek nanhā ḳhvāb merā kho gayā jaane kahāñ
gaañv dekhā shahr dekhā rājdhānī dekh lī
dekh li duniya tumhaari mehrbani dekh li
tum ne di thi o KHuda wo zindagani dekh li
phul se bachpan ke sir dekha buDhape ka pahaD
aansuon ki aanch mein galti jawani dekh li
chiKHti lapTen achanak samne uThne lagin
jab kisi ghar mein koi laDki siyani dekh li
man ne bachpan mein sunaya jis ko lori ki tarah
ab haqiqat mein wo jangal ki kahani dekh li
ek nanha KHwab mera kho gaya jaane kahan
ganw dekha shahr dekha rajdhani dekh li
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 39)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.