der tak tanhaiyon mein siskiyan rah jaengi
der tak tanhā.iyoñ meñ siskiyāñ rah jā.eñgī
is hasīñ naqshe pe ujḌī bastiyāñ rah jā.eñgī
būḌhe bargad kī ridā to chhīn leñgī āñdhiyāñ
jism se shāḳhoñ ke lipTī pattiyāñ rah jā.eñgī
aap se māñge hue sab ḳhvāb vāpas kar diye
paas mere aap kī bas chiTThiyāñ rah jā.eñgī
ik thakā haarā musāfir raah meñ so jā.egā
bas bañdhī āñchal meñ sūkhī roTiyāñ rah jā.eñgī
bādshāh to jang laḌte laḌte būḌhā ho gayā
'rāz' mahloñ meñ javāñ shahzādiyāñ rah jā.eñgī
der tak tanhaiyon mein siskiyan rah jaengi
is hasin naqshe pe ujDi bastiyan rah jaengi
buDhe bargad ki rida to chhin lengi aandhiyan
jism se shaKHon ke lipTi pattiyan rah jaengi
aap se mange hue sab KHwab wapas kar diye
pas mere aap ki bas chiTThiyan rah jaengi
ek thaka haara musafir rah mein so jaega
bas bandhi aanchal mein sukhi roTiyan rah jaengi
baadshah to jang laDte laDte buDha ho gaya
'raaz' mahlon mein jawan shahzadiyan rah jaengi
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.