dhup ka jangal nange panw ek banjara karta kya
dhuup kā jañgal nañge paañv ik banjārā kartā kyā
ret ke dariyā ret ke jharne pyaas kā maarā kartā kyā
bādal bādal aag lagī thī chhāyā tarse chhāyā ko
pattā pattā suukh chukā thā peḌ bechāra kartā kyā
sab us ke āñgan meñ apnī rām-kahānī kahte the
bol nahīñ saktā thā kuchh bhī ghar chaubārā kartā kyā
tum ne chāhe chāñd sitāre ham ko motī laane the
ham donoñ kī raah alag thī saath tumhārā kartā kyā
ye hai terī aur na merī duniyā aanī jaanī hai
terā merā is kā us kā phir baTvārā kartā kyā
TuuT ga.e jab bandhan saare aur kināre chhūT ga.e
biich bhañvar meñ maiñ ne us kā naam pukārā kartā kyā
dhup ka jangal nange panw ek banjara karta kya
ret ke dariya ret ke jharne pyas ka mara karta kya
baadal baadal aag lagi thi chhaya tarse chhaya ko
patta patta sukh chuka tha peD bechaara karta kya
sab us ke aangan mein apni ram-kahani kahte the
bol nahin sakta tha kuchh bhi ghar chaubara karta kya
tum ne chahe chand sitare hum ko moti lane the
hum donon ki rah alag thi sath tumhaara karta kya
ye hai teri aur na meri duniya aani jaani hai
tera mera is ka us ka phir baTwara karta kya
TuT gae jab bandhan sare aur kinare chhuT gae
bich bhanwar mein main ne us ka nam pukara karta kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.