dil mein har dam chubhne wala kanTa sahih salamat de
dil meñ har dam chubhne vaalā kāñTā sahī salāmat de
āñkheñ de yā mat de lekin sapnā sahī salāmat de
hameñ to yudh ātañk bhuuk se maarī dhartī baḳhshī hai
aane vaalī pīḌhī ko to duniyā sahī salāmat de
bachche bhī ab khel rahe haiñ ḳhatarnāk hathiyāroñ se
bachpan kī baġhiyā ko koī guḌiyā sahī salāmat de
TukḌe TukḌe meñ jiine kā matlab marnā hotā hai
bujhe charāġhoñ kī qismat meñ jalnā sahī salāmat de
da.avā hai maiñ us ko ik din dariyā kar ke chhoḌūñgā
khulī hathelī par aañsū kā qatra sahī salāmat de
aadhī aur adhūrī hasrat kab tak zinda rakkheñge
kāġhaz par hī lekin ghar kā naqsha sahī salāmat de
dil mein har dam chubhne wala kanTa sahi salamat de
aankhen de ya mat de lekin sapna sahi salamat de
hamein to yudh aatank bhuk se mari dharti baKHshi hai
aane wali piDhi ko to duniya sahi salamat de
bachche bhi ab khel rahe hain KHatarnak hathiyaron se
bachpan ki baghiya ko koi guDiya sahi salamat de
TukDe TukDe mein jine ka matlab marna hota hai
bujhe charaghon ki qismat mein jalna sahi salamat de
dawa hai main us ko ek din dariya kar ke chhoDunga
khuli hatheli par aansu ka qatra sahi salamat de
aadhi aur adhuri hasrat kab tak zinda rakkhenge
kaghaz par hi lekin ghar ka naqsha sahi salamat de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.