dub ko chahiye hara mausam
duub ko chāhiye harā mausam
aur mujh ko khilā khilā mausam
dekh kar ek shaḳhs ko tanhā
kuchh se kuchh aur ho gayā mausam
sīḌhiyoñ par jamī thī kaa.ī bahut
pair rakhte phisal gayā mausam
in dinoñ kuchh nahīñ huā mujh se
har taraf gūñjtā rahā mausam
sab ne chipkā.e kaale kāġhaz the
kis jharoke se jhāñktā mausam
ek tirpāl uḌ ke duur girī
haaT ko rauñdtā gayā mausam
aur sab log baat karne lage
jaane kis shaḳhs ne kahā mausam
umr bhar us ke saath rahtā hai
ek bachche kī aañkh kā mausam
dub ko chahiye hara mausam
aur mujh ko khila khila mausam
dekh kar ek shaKHs ko tanha
kuchh se kuchh aur ho gaya mausam
siDhiyon par jami thi kai bahut
pair rakhte phisal gaya mausam
in dinon kuchh nahin hua mujh se
har taraf gunjta raha mausam
sab ne chipkae kale kaghaz the
kis jharoke se jhankta mausam
ek tirpal uD ke dur giri
haT ko raundta gaya mausam
aur sab log baat karne lage
jaane kis shaKHs ne kaha mausam
umr bhar us ke sath rahta hai
ek bachche ki aankh ka mausam
- Book : Lafz Magazine-August To Octobar-2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.