Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek jug baad shab-e-gham ki sahar dekhi

Gopaldas Neeraj

ek jug baad shab-e-gham ki sahar dekhi

Gopaldas Neeraj

MORE BYGopaldas Neeraj

    ek jug ba.ad shab-e-ġham sahar dekhī hai

    dekhne na thī ummīd magar dekhī hai

    jis meñ maz.hab ke har ik rog likkhā hai ilaaj

    vo kitāb ham ne kisī riñd ke ghar dekhī hai

    ḳhud-kushī kartī hai aapas siyāsat kaise

    ham ne ye film na.ī ḳhuub idhar dekhī hai

    dosto naav ko ab ḳhuub sambhāle rakhiye

    ham ne nazdīk ik ḳhaas bhañvar dekhī hai

    us ko kyā ḳhaak sharāboñ meñ mazā aa.egā

    jis ne ik baar bhī vo shoḳh nazar dekhī hai

    ek jug baad shab-e-gham ki sahar dekhi hai

    dekhne ki na thi ummid magar dekhi hai

    jis mein mazhab ke har ek rog ka likkha hai ilaj

    wo kitab hum ne kisi rind ke ghar dekhi hai

    KHud-kushi karti hai aapas ki siyasat kaise

    hum ne ye film nai KHub idhar dekhi hai

    dosto naw ko ab KHub sambhaale rakhiye

    hum ne nazdik hi ek KHas bhanwar dekhi hai

    us ko kya KHak sharabon mein maza aaega

    jis ne ek bar bhi wo shoKH nazar dekhi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now