ek jug baad shab-e-gham ki sahar dekhi hai
ek jug baad shab-e-ġham kī sahar dekhī hai
dekhne kī na thī ummīd magar dekhī hai
jis meñ maz.hab ke har ik rog kā likkhā hai ilaaj
vo kitāb ham ne kisī rind ke ghar dekhī hai
ḳhud-kushī kartī hai aapas kī siyāsat kaise
ham ne ye film na.ī ḳhuub idhar dekhī hai
dosto naav ko ab ḳhuub sañbhāle rakhiyo
ham ne nazdīk hī ik ḳhaas bhañvar dekhī hai
us ko kyā ḳhaak sharāboñ meñ maza aa.egā
jis ne ik baar bhī vo shoḳh nazar dekhī hai
ek jug baad shab-e-gham ki sahar dekhi hai
dekhne ki na thi ummid magar dekhi hai
jis mein mazhab ke har ek rog ka likkha hai ilaj
wo kitab hum ne kisi rind ke ghar dekhi hai
KHud-kushi karti hai aapas ki siyasat kaise
hum ne ye film nai KHub idhar dekhi hai
dosto naw ko ab KHub sanbhaale rakhiyo
hum ne nazdik hi ek KHas bhanwar dekhi hai
us ko kya KHak sharabon mein maza aaega
jis ne ek bar bhi wo shoKH nazar dekhi hai
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 40)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.