fana diwar karna chahta hun
fanā dīvār karnā chāhtā huuñ
maiñ sab se pyaar karnā chāhtā huuñ
havā meñ zahr gholā jā rahā hai
maiñ ḳhushbū-dār karnā chāhtā huuñ
vafā kī ab yahāñ qīmat nahīñ hai
palaT kar vaar karnā chāhtā huuñ
pakaḌ se lafz chhūTā jā rahā hai
jise iz.hār karnā chāhtā huuñ
udhar se phir pukārā hai kisī ne
samundar paar karnā chāhtā huuñ
fana diwar karna chahta hun
main sab se pyar karna chahta hun
hawa mein zahr ghola ja raha hai
main KHushbu-dar karna chahta hun
wafa ki ab yahan qimat nahin hai
palaT kar war karna chahta hun
pakaD se lafz chhuTa ja raha hai
jise izhaar karna chahta hun
udhar se phir pukara hai kisi ne
samundar par karna chahta hun
- Book : Gazal,Dushyant Ke Bad-volume-3
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.