Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fana ke god mein phula-phala hun

Allhad Bikaneri

fana ke god mein phula-phala hun

Allhad Bikaneri

MORE BYAllhad Bikaneri

    fanā ke god meñ phūlā-phalā huuñ

    talātum huuñ bhañvar huuñ zalzala huuñ

    nipaT lūñgā akele maiñ ḳhud se

    musībat huuñ qayāmat huuñ balā huuñ

    dhueñ shakl meñ maujūd huuñ maiñ

    chitā meñ jal ke bhī maiñ kab jalā huuñ

    na panpā ik shajar saa.e meñ jis ke

    maiñ us bargad ke saa.e meñ palā huuñ

    bhale logo tum apnī raah dekho

    tumheñ kyā maiñ burā huuñ bhalā huuñ

    fana ke god mein phula-phala hun

    talatum hun bhanwar hun zalzala hun

    nipaT lunga akele hi main KHud se

    musibat hun qayamat hun bala hun

    dhuen ki shakl mein maujud hun main

    chita mein jal ke bhi main kab jala hun

    na panpa ek shajar sae mein jis ke

    main us bargad ke sae mein pala hun

    bhale logo tum apni rah dekho

    tumhein kya main bura hun ya bhala hun

    Source :
    • Book : Gazal Dushyant Ke Bad
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now