gagan bajaane laga jal-tarang phir yaro
gagan bajāne lagā jal-tarañg phir yaaro
ki bhīge ham bhī zarā sañg sañg phir yaaro
kise pata hai ki kab tak rahegā ye mausam
rakhā hai bāñdh ke kyuuñ man ko rañg phir yaaro
ghumaḌ ghumaḌ ke jo bādal ghirā aTārī par
vihañg ban ke uḌī ik umañg phir yaaro
kahīñ pe kajlī kahīñ taan uTThī birhā kī
hirdai meñ jhāñk gayā ik anañg phir yaaro
piyā kī baañh meñ simTī hai is tarah gorī
sabhañg shlesh huā hai abhañg phir yaaro
jo rañg giit kā 'balbīr'-jī ke saath gaayā
na ham ne dekhā kahīñ vaisā rañg phir yaaro
gagan bajaane laga jal-tarang phir yaro
ki bhige hum bhi zara sang sang phir yaro
kise pata hai ki kab tak rahega ye mausam
rakha hai bandh ke kyun man ko rang phir yaro
ghumaD ghumaD ke jo baadal ghira aTari par
wihang ban ke uDi ek umang phir yaro
kahin pe kajli kahin tan uTThi birha ki
hirdai mein jhank gaya ek anang phir yaro
piya ki banh mein simTi hai is tarah gori
sabhang shlesh hua hai abhang phir yaro
jo rang git ka 'balbir'-ji ke sath gaya
na hum ne dekha kahin waisa rang phir yaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.