galiyon galiyon sirf ghuTan hai banjara dam toD na de
galiyoñ galiyoñ sirf ghuTan hai banjāra dam toḌ na de
bahroñ ke ghar gaate gaate ik-tārā dam toḌ na de
ūñche parvat se utrī hai pyaas bujhāne dhartī kī
angāroñ par chalte chalte jal-dhārā dam toḌ na de
chandā kā kyā vo to apnī rāheñ roz badaltā hai
apne vachnoñ par driḌh rah kar dhruv-tārā dam toḌ na de
mumkin ho to duur hī rakhnā dil kī aag ko aañsū se
paanī kī bāñhoñ meñ aa kar angāra dam toḌ na de
āñdhī āñdhī meñ ab phir se bhej na man ke panchhī ko
maanā pahle bach aaya hai dobāra dam toḌ na de
keval ujyārā rahtā to niiñd na miltī āñkhoñ ko
mere bachpan kā sāthī ye añdhiyārā dam toḌ na de
ghar-ghar jā kar baañT rahā hai chiTThī jo muskānoñ kī
dekho mere aañsū kā ye harkāra dam toḌ na de
kitnī mushkil se bach paaya āñdhī se ye niiḌ 'kuñvar'
ab to bijlī kī bārish haiñ bechārā dam toḌ na de
galiyon galiyon sirf ghuTan hai banjara dam toD na de
bahron ke ghar gate gate ik-tara dam toD na de
unche parwat se utri hai pyas bujhane dharti ki
angaron par chalte chalte jal-dhaara dam toD na de
chanda ka kya wo to apni rahen roz badalta hai
apne wachnon par driDh rah kar dhruw-tara dam toD na de
mumkin ho to dur hi rakhna dil ki aag ko aansu se
pani ki banhon mein aa kar angara dam toD na de
aandhi aandhi mein ab phir se bhej na man ke panchhi ko
mana pahle bach aaya hai dobara dam toD na de
kewal ujyara rahta to nind na milti aankhon ko
mere bachpan ka sathi ye andhiyara dam toD na de
ghar-ghar ja kar banT raha hai chiTThi jo muskanon ki
dekho mere aansu ka ye harkara dam toD na de
kitni mushkil se bach paya aandhi se ye niD 'kunwar'
ab to bijli ki barish hain bechaara dam toD na de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.