ghat par ghat aur mat puchhiye
ghaat par ghaat hai aur mat pūchhiye
kyā mulāqāt hai aur mat pūchhiye
ghar pahuñch bhī na paa.ī ki dul.han jalī
kaisī bārāt hai aur mat pūchhiye
beTiyāñ jal ga.iiñ yā jalā.ī ga.iiñ
aap ko gyaat hai aur mat pūchhiye
aur mat pūchhiye aur mat pūchhiye
raaz kī baat hai aur mat pūchhiye
zaḳhm dete haiñ marham lagāte bhī haiñ
ḳhuub sauġhāt hai aur mat pūchhiye
ghat par ghat hai aur mat puchhiye
kya mulaqat hai aur mat puchhiye
ghar pahunch bhi na pai ki dulhan jali
kaisi baraat hai aur mat puchhiye
beTiyan jal gain ya jalai gain
aap ko gyat hai aur mat puchhiye
aur mat puchhiye aur mat puchhiye
raaz ki baat hai aur mat puchhiye
zaKHm dete hain marham lagate bhi hain
KHub saughat hai aur mat puchhiye
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 53)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.