ghuTan ke sath tu jaega in gharon mein kahan
ghuTan ke saath tū jā.egā in gharoñ meñ kahāñ
khulī fazā meñ jo rāhat hai bastiyoñ meñ kahāñ
utar chukī hai jo kāġhaz pe apne rangoñ meñ
chhupī huī thī vo tasvīr uñgliyoñ meñ kahāñ
ghane daraḳht haiñ is raah se tū din meñ guzar
huī jo raat to bhaTkegā jangaloñ meñ kahāñ
safed peḌ bahut jald ho ga.e ūñche
jo kal mile the vo manzar bhī rāstoñ meñ kahāñ
harī zamīn pe tū ne imārateñ bo diiñ
milegī taaza havā tujh ko pattharoñ meñ kahāñ
ye ratjage ye ibādat to un kā pesha hai
bhaTak rahā hai nagar un ke ratjagoñ meñ kahāñ
use nizām ne apnā banā liyā yaaro
ab us kā naam adālat ke kāġhazoñ meñ kahāñ
ghuTan ke sath tu jaega in gharon mein kahan
khuli faza mein jo rahat hai bastiyon mein kahan
utar chuki hai jo kaghaz pe apne rangon mein
chhupi hui thi wo taswir ungliyon mein kahan
ghane daraKHt hain is rah se tu din mein guzar
hui jo raat to bhaTkega jangalon mein kahan
safed peD bahut jald ho gae unche
jo kal mile the wo manzar bhi raston mein kahan
hari zamin pe tu ne imaraten bo din
milegi taza hawa tujh ko pattharon mein kahan
ye ratjage ye ibaadat to un ka pesha hai
bhaTak raha hai nagar un ke ratjagon mein kahan
use nizam ne apna bana liya yaro
ab us ka nam adalat ke kaghazon mein kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.