hai wyawastha se bahut ghussa bhi wo
hai vyavasthā se bahut ġhussa bhī vo
aur kar letā hai samjhauta bhī vo
vo ki kartā hī rahā sab kā lihāz
khul ke kar paayā nahīñ shikva bhī vo
zindagī kī dauḌ meñ bhī hai sharīk
aur kuchh moḌoñ pe hai Thahrā bhī vo
us ko ḳhud se hī na fursat mil sakī
dard merā kuchh agar samjhā bhī vo
ġhair to lagtā nahīñ vo aaj bhī
haañ magar lagtā nahīñ apnā bhī vo
tañg-dilī itnī huī duniyā ki uf
kis tarah rahtā agar rahtā bhī vo
hai wyawastha se bahut ghussa bhi wo
aur kar leta hai samjhauta bhi wo
wo ki karta hi raha sab ka lihaz
khul ke kar paya nahin shikwa bhi wo
zindagi ki dauD mein bhi hai sharik
aur kuchh moDon pe hai Thahra bhi wo
us ko KHud se hi na fursat mil saki
dard mera kuchh agar samjha bhi wo
ghair to lagta nahin wo aaj bhi
han magar lagta nahin apna bhi wo
tang-dili itni hui duniya ki uf
kis tarah rahta agar rahta bhi wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.