hum ana ko taq par jis roz rakh kar aa gae
ham anā ko taaq par jis roz rakh kar aa ga.e
kitne saare fāsle ham meñ simaT kar aa ga.e
ā.īne meñ aaj ham to 'aks apnā dekh kar
yuuñ lagā ham apnī jānib rah palaT kar aa ga.e
sirf halqa sā hameñ chhiTkā diyā thā vaqt ne
us ke dam par ham hazāroñ ko parakh kar aa ga.e
mallika ne os ke qatroñ kī farmā.ish karī
us kī palkoñ pe ka.ī bādal baras kar aa ga.e
pairvī koī na thī darḳhvāst rakh kar aa ga.e
ham bhī jā kar pattharoñ pe sar paTak kar aa ga.e
hum ana ko taq par jis roz rakh kar aa gae
kitne sare fasle hum mein simaT kar aa gae
aaine mein aaj hum to 'aks apna dekh kar
yun laga hum apni jaanib rah palaT kar aa gae
sirf halqa sa hamein chhiTka diya tha waqt ne
us ke dam par hum hazaron ko parakh kar aa gae
mallika ne os ke qatron ki farmaish kari
us ki palkon pe kai baadal baras kar aa gae
pairwi koi na thi darKHwast rakh kar aa gae
hum bhi ja kar pattharon pe sar paTak kar aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.