hum jahan se the chale kya phir wahin aana hua
ham jahāñ se the chale kyā phir vahīñ aanā huā
ajnabī ye drishya kuchh lagtā hai pahchānā huā
yaad sā aatā hai jangal se kabhī bichhḌe the ham
phir shahar ke biich us se aaj yārāna huā
tum akele yuuñ khaḌe āvāz dete ho kise
in ghanī ābādiyoñ kā man hai vīrāna huā
aag kī lapToñ se pūchho aadmī ke dil kā rang
dard kal tak thā kahīñ vo aaj afsānā huā
pūchhtā phirtā hai dekho phir mohabbat kā pata
phir sharāfat ke shahar meñ koī dīvāna huā
hum jahan se the chale kya phir wahin aana hua
ajnabi ye drishya kuchh lagta hai pahchana hua
yaad sa aata hai jangal se kabhi bichhDe the hum
phir shahar ke bich us se aaj yarana hua
tum akele yun khaDe aawaz dete ho kise
in ghani aabaadiyon ka man hai virana hua
aag ki lapTon se puchho aadmi ke dil ka rang
dard kal tak tha kahin wo aaj afsana hua
puchhta phirta hai dekho phir mohabbat ka pata
phir sharafat ke shahar mein koi diwana hua
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 38)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.