hum ko uski dosti se dushmani achchhi lagi
ham ko us kī dostī se dushmanī achchhī lagī
pyaar kī duniyā meñ aise ḳhud-kushī achchhī lagī
kar rahe haiñ ham sabhī is daur meñ andhā safar
jitnī jis ke saath thī jaisī kaTī achchhī lagī
so ga.iiñ āñkhoñ meñ terī chāhatoñ kī uljhaneñ
muddatoñ ke baad ham ko niiñd bhī achchhī lagī
shā.erī kā shauq ghar ke mas.ale daftar kī fikr
is tarah qistoñ meñ baTtī zindagī achchhī lagī
muntazir 'dānish' rahe ham bas usī ke umr bhar
mil na paa.ī jo kabhī bhī vo ḳhushī achchhī lagī
hum ko us ki dosti se dushmani achchhi lagi
pyar ki duniya mein aise KHud-kushi achchhi lagi
kar rahe hain hum sabhi is daur mein andha safar
jitni jis ke sath thi jaisi kaTi achchhi lagi
so gain aankhon mein teri chahaton ki uljhanen
muddaton ke baad hum ko nind bhi achchhi lagi
shaeri ka shauq ghar ke masale daftar ki fikr
is tarah qiston mein baTti zindagi achchhi lagi
muntazir 'danish' rahe hum bas usi ke umr bhar
mil na pai jo kabhi bhi wo KHushi achchhi lagi
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 434)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.