hum le ke apna mal jo mele mein aa gae
ham le ke apnā maal jo mele meñ aa ga.e
saare dukān-dār dukāneñ baḌhā ga.e
bastī ke qatl-e-ām pe niklī na aah bhī
ḳhud ko lagī jo choT to dariyā bahā ga.e
duniyā ki shohrateñ haiñ unhīñ ke nasīb meñ
andāz jin ko baat banāne ke aa ga.e
fankār to zamāne meñ gumnām hī rahe
tājir the jo hunar ke zamāne pe chhā ga.e
donoñ hī ek jaise haiñ kuTiyā ho yā mahal
dīvār-o-dar ke ma.ānī samajh meñ jo aa ga.e
nazreñ haTā liiñ apnī to ye mo.ajiza huā
jalve simaT ke ḳhud mirī āñkhoñ meñ aa ga.e
panDit ulajh ke rah ga.e pothī ke jaal meñ
kyā chiiz hai ye zindagī bachche batā ga.e
hum le ke apna mal jo mele mein aa gae
sare dukan-dar dukanen baDha gae
basti ke qatl-e-am pe nikli na aah bhi
KHud ko lagi jo choT to dariya baha gae
duniya ki shohraten hain unhin ke nasib mein
andaz jin ko baat banane ke aa gae
fankar to zamane mein gumnam hi rahe
tajir the jo hunar ke zamane pe chha gae
donon hi ek jaise hain kuTiya ho ya mahal
diwar-o-dar ke maani samajh mein jo aa gae
nazren haTa lin apni to ye moajiza hua
jalwe simaT ke KHud meri aankhon mein aa gae
panDit ulajh ke rah gae pothi ke jal mein
kya chiz hai ye zindagi bachche bata gae
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.