har ek qadam pe is liye ghabra raha hai dil
har ik qadam pe is liye ghabrā rahā hai dil
maiñ huuñ gunāhgār sazā pā rahā hai dil
ye dar-ba-dar hī Thokareñ khātā rahā sadā
kyā guzrī us pe 'ishq meñ batlā rahā hai dil
insāniyat kā daur bhī ab to rahā nahīñ
so dushmanoñ ke biich ḳhushī pā rahā hai dil
āñkhoñ meñ muflisoñ kī jo manzar haiñ ḳhauf ke
yuuñ zindagī se ab mirā uktā rahā hai dil
kyoñ aadmī hī aadmī ko qatl kar rahā
ye soch soch kar mirā ghabrā rahā hai dil
sochā thā tujh ko bhuul ke mil jā.egā qarār
ab to isī ḳhayāl se pachhtā rahā hai dil
gulshan meñ phuul aaj bhī ik saath khil rahe
insāñ kī dushmanī se phaTā jā rahā hai dil
ye husn aur 'ishq kī bāteñ to sab kareñ
ulfat se thak ke yaar ye sustā rahā hai dil
ik raat chāñd chhūne kī dil meñ ḳhalish huī
ye ḳhvāb ik fareb hai samjhā rahā hai dil
chhat par jo aa ke us ne bhī zulfeñ haiñ khol diiñ
'ātish' falak pe chāñd kā sharmā rahā hai dil
har ek qadam pe is liye ghabra raha hai dil
main hun gunahgar saza pa raha hai dil
ye dar-ba-dar hi Thokaren khata raha sada
kya guzri us pe 'ishq mein batla raha hai dil
insaniyat ka daur bhi ab to raha nahin
so dushmanon ke bich KHushi pa raha hai dil
aankhon mein muflison ki jo manzar hain KHauf ke
yun zindagi se ab mera ukta raha hai dil
kyon aadmi hi aadmi ko qatl kar raha
ye soch soch kar mera ghabra raha hai dil
socha tha tujh ko bhul ke mil jaega qarar
ab to isi KHayal se pachhta raha hai dil
gulshan mein phul aaj bhi ek sath khil rahe
insan ki dushmani se phaTa ja raha hai dil
ye husn aur 'ishq ki baaten to sab karen
ulfat se thak ke yar ye susta raha hai dil
ek raat chand chhune ki dil mein KHalish hui
ye KHwab ek fareb hai samjha raha hai dil
chhat par jo aa ke us ne bhi zulfen hain khol din
'atish' falak pe chand ka sharma raha hai dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.