hawa se kis liye yari nahin karte
havā se kis liye yaarī nahīñ karte
charāġho kyuuñ samajhdārī nahīñ karte
irāda karte hī ham kuuch karte haiñ
safar kī koī tayyārī nahīñ karte
ta.alluq TūTte juḌte hī rahte haiñ
miyāñ is tarah jī bhārī nahīñ karte
kahīñ bīmār ho jaa.eñ na is Dar se
masīhāoñ se ham yaarī nahīñ karte
nashe meñ kah ga.e jugnū ye sūraj se
ham aise vaise se yaarī nahīñ karte
añdhere ko añdherā hī likheñge 'kaif'
ham apne fan se ġhaddārī nahīñ karte
hawa se kis liye yari nahin karte
charagho kyun samajhdari nahin karte
irada karte hi hum kuch karte hain
safar ki koi tayyari nahin karte
talluq TuTte juDte hi rahte hain
miyan is tarah ji bhaari nahin karte
kahin bimar ho jaen na is Dar se
masihaon se hum yari nahin karte
nashe mein kah gae jugnu ye suraj se
hum aise waise se yari nahin karte
andhere ko andhera hi likhenge 'kaif'
hum apne fan se ghaddari nahin karte
- Book : Harigandha (April-May-2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.