hawale aap ke hum ko har guftugu mein mile
havāle aap ke ham ko har guftugū meñ mile
hameñ to 'aks tumhāre har ġhair rū meñ mile
hujūm ho ga.e yakjā sar-e-maqām magar
vo sirf aap the vāhid hameñ shurū' meñ mile
kināre baiTh merā haath māñgtā hai jo
kaho ye us se ki aa kar ke aabjū meñ mile
chashm-e-bedār meñ Dhalte hue sūraj se tum
palak Dhakīñ to falak pe hameñ tulū' meñ mile
ahmiyat taaj kī mumtāz ke liye ye faqat
isī bahāne shahanshāh use sukūñ meñ mile
hawale aap ke hum ko har guftugu mein mile
hamein to 'aks tumhaare har ghair ru mein mile
hujum ho gae yakja sar-e-maqam magar
wo sirf aap the wahid hamein shuru' mein mile
kinare baiTh mera hath mangta hai jo
kaho ye us se ki aa kar ke aabju mein mile
chashm-e-bedar mein Dhalte hue suraj se tum
palak Dhakin to falak pe hamein tulu' mein mile
ahmiyat taj ki mumtaz ke liye ye faqat
isi bahane shahanshah use sukun mein mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.