idhar islam KHatre mein udhar ram KHatre mein
idhar islām ḳhatre meñ udhar hai raam ḳhatre meñ
magar maiñ kyā karūñ hai merī sub.h o shaam ḳhatre meñ
vo ġham vaale se bam vaale hue un ko patā kyuuñ ho
ki mushkil meñ mirī roTī hai merā jaam ḳhatre meñ
ye kyā se kyā banā Daalā hai ham ne mulk ko apne
kahīñ harry kahīñ hāmid kahīñ harnām ḳhatre meñ
ġhazal-goī ye afsāne risāle aur tahrīkeñ
kitābat sach-kalāmī haa.e saare kaam ḳhatre meñ
na bolo sach ziyāda 'nūr' varna log dekheñge
tumhārī jaan jokham meñ tumhārā naam ḳhatre meñ
idhar islam KHatre mein udhar hai ram KHatre mein
magar main kya karun hai meri subh o sham KHatre mein
wo gham wale se bam wale hue un ko pata kyun ho
ki mushkil mein meri roTi hai mera jam KHatre mein
ye kya se kya bana Dala hai hum ne mulk ko apne
kahin harry kahin hamid kahin harnam KHatre mein
ghazal-goi ye afsane risale aur tahriken
kitabat sach-kalami hae sare kaam KHatre mein
na bolo sach ziyaada 'nur' warna log dekhenge
tumhaari jaan jokham mein tumhaara nam KHatre mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.