ik bharosa darmiyāñ hote hue
luT gayā ghar pāsbāñ hote hue
rah sakegā aadmī ḳhush kis tarah
dost itne mehrbāñ hote hue
dekh paate jang kī dīvāngī
kaash ye bachche javāñ hote hue
aadmī kitnā akelā rah gayā
bastiyoñ kī bastiyāñ hote hue
tū ghaḌī bhar bhī na mujh se duur thā
fāsle sau darmiyāñ hote hue
zindagī bhar ek ghar DhūñDā kiye
ik bharā puurā makāñ hote hue
ek bharosa darmiyan hote hue
luT gaya ghar pasban hote hue
rah sakega aadmi KHush kis tarah
dost itne mehrban hote hue
dekh pate jang ki diwangi
kash ye bachche jawan hote hue
aadmi kitna akela rah gaya
bastiyon ki bastiyan hote hue
tu ghaDi bhar bhi na mujh se dur tha
fasle sau darmiyan hote hue
zindagi bhar ek ghar DhunDa kiye
ek bhara pura makan hote hue
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.