indar-jali mantar phunka aql ke zulmat-KHanon par
indar-jali mantar phunka aql ke zulmat-KHanon par
Samar Khanabadosh
MORE BYSamar Khanabadosh
indar-jālī mantar phūñkā 'aql ke zulmat-ḳhānoñ par
aur savāmit ghol ke maare dil ke raushan-dānoñ par
bhojpatr kī chāroñ dishā.eñ hriday ke viprīt milīñ
gañgā-jal bhī fail huā hai kaanā kī santānoñ par
'ishq ke ham āseb-zada haiñ aur aise āseb-zada
'āmil baabā chhoḌ sake na koī asar dīvānoñ par
'ishq meñ ham bas kaanā jī ko apnā murshid mānte haiñ
apnā ik ik chhand hai bhārī qais ke sab afsānoñ par
yūñhī amar kab Thahreñ haiñ vo 'ishq ne hī ehsān kiyā
sant ravī kī kuTiyā par aur 'mīrā' ke aivānoñ par
'ishq amar hai 'ishq amar hai 'ishq amar hai 'ishq amar
yahī likhā thā sadiyoñ pahle chandragupt ke lāToñ par
gangā ke us paar drishya kitnā sundar hotā hai
'ishq kā sūraj nikle hai jab zulfeñ Daale shānoñ par
bhañg kī tohmat tulsī jī ke dohoñ tak mahdūd nahīñ
kuchh ne ġhazal ko mudrā thāme dekhā hai mai-ḳhānoñ par
'ishq ko tābe' karne meñ jo bāvan chobī bhuul ga.e
rūdrāksh kī maalā pahne baiThe haiñ asthānoñ par
bichhḌā sāthī mil jaatā hai dhīraj rākho 'ḳhāna-ba-dosh'
qashqa khīñcho 'ishq japo bas tasbīhāt ke dānoñ par
indar-jali mantar phunka 'aql ke zulmat-KHanon par
aur sawamit ghol ke mare dil ke raushan-danon par
bhojpatr ki chaaron dishaen hriday ke wiprit milin
ganga-jal bhi fail hua hai kana ki santanon par
'ishq ke hum aaseb-zada hain aur aise aaseb-zada
'amil baba chhoD sake na koi asar diwanon par
'ishq mein hum bas kana ji ko apna murshid mante hain
apna ek ek chhand hai bhaari qais ke sab afsanon par
yunhi amar kab Thahren hain wo 'ishq ne hi ehsan kiya
sant rawi ki kuTiya par aur 'mira' ke aiwanon par
'ishq amar hai 'ishq amar hai 'ishq amar hai 'ishq amar
yahi likha tha sadiyon pahle chandragupt ke laTon par
ganga ke us par drishya kitna sundar hota hai
'ishq ka suraj nikle hai jab zulfen Dale shanon par
bhang ki tohmat tulsi ji ke dohon tak mahdud nahin
kuchh ne ghazal ko mudra thame dekha hai mai-KHanon par
'ishq ko tabe' karne mein jo bawan chobi bhul gae
rudraksh ki mala pahne baiThe hain asthanon par
bichhDa sathi mil jata hai dhiraj rakho 'KHana-ba-dosh'
qashqa khincho 'ishq japo bas tasbihat ke danon par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.