insan hansta hai kabhi aur kabhi rota hai
insāñ hañstā hai kabhī aur kabhī rotā hai
vahī hotā hai jo qismat meñ likhā hotā hai
kaam aa jaa.e kisī ke to ye jaañ hāzir hai
yuuñ to har aadmī bojh apnā yahāñ Dhotā hai
maiñ jhukūñgā na kabhī zulm-o-sitam ke aage
imtihāñ merā to har pal hī yahāñ hotā hai
maqsad-e-zīst hai kyā kis ko paḌī jo soche
aadmī khātā hai piitā hai aur sotā hai
insan hansta hai kabhi aur kabhi rota hai
wahi hota hai jo qismat mein likha hota hai
kaam aa jae kisi ke to ye jaan hazir hai
yun to har aadmi bojh apna yahan Dhota hai
main jhukunga na kabhi zulm-o-sitam ke aage
imtihan mera to har pal hi yahan hota hai
maqsad-e-zist hai kya kis ko paDi jo soche
aadmi khata hai pita hai aur sota hai
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 45)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.