is raste ke nam likho ek sham aur
is rāste ke naam likho ek shaam aur
yā is meñ raushnī kā karo intizām aur
āñdhī meñ sirf ham hī ukhaḌ kar nahīñ gire
ham se juḌā huā thā koī ek naam aur
marghaT meñ bhiiḌ hai yā mazāroñ pe bhiiḌ hai
ab gul khilā rahā hai tumhārā nizām aur
ghuTnoñ pe rakh ke haath khaḌe the namāz meñ
aa jā rahe the log zehen meñ tamām aur
ham ne bhī pahlī baar chakhī to burī lagī
kaḌvī tumheñ lagegī magar ek jaam aur
hairāñ the apne aks pe ghar ke tamām log
shīsha chaTaḳh gayā to huā ek kaam aur
un kā kahīñ jahāñ meñ Thikāna nahīñ rahā
ham ko to mil gayā hai adab meñ maqām aur
is raste ke nam likho ek sham aur
ya is mein raushni ka karo intizam aur
aandhi mein sirf hum hi ukhaD kar nahin gire
hum se juDa hua tha koi ek nam aur
marghaT mein bhiD hai ya mazaron pe bhiD hai
ab gul khila raha hai tumhaara nizam aur
ghuTnon pe rakh ke hath khaDe the namaz mein
aa ja rahe the log zehen mein tamam aur
hum ne bhi pahli bar chakhi to buri lagi
kaDwi tumhein lagegi magar ek jam aur
hairan the apne aks pe ghar ke tamam log
shisha chaTaKH gaya to hua ek kaam aur
un ka kahin jahan mein Thikana nahin raha
hum ko to mil gaya hai adab mein maqam aur
- Book : Saye mein dhoop (Pg. 34)
- Author : Dushyant Kumar
- Publication : Radha krishna Prakashan.Pvt.Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.