jaane kis kis ka KHayal aaya hai
jaane kis kis kā ḳhayāl aayā hai
is samundar meñ ubaal aayā hai
ek bachcha thā havā kā jhoñkā
saaf paanī ko khañgāl aayā hai
ek Dhelā to vahīñ aTkā thā
ek tū aur uchhāl aayā hai
kal to niklā thā bahut saj-dhaj ke
aaj lauTā to niDhāl aayā hai
ye nazar hai ki koī mausam hai
ye sabā hai ki bavāl aayā hai
is añdhere meñ diyā rakhnā thā
tū ujāle meñ hī baal aayā hai
ham ne sochā thā javāb aa.egā
ek behūda savāl aaya hai
jaane kis kis ka KHayal aaya hai
is samundar mein ubaal aaya hai
ek bachcha tha hawa ka jhonka
saf pani ko khangal aaya hai
ek Dhela to wahin aTka tha
ek tu aur uchhaal aaya hai
kal to nikla tha bahut saj-dhaj ke
aaj lauTa to niDhaal aaya hai
ye nazar hai ki koi mausam hai
ye saba hai ki bawal aaya hai
is andhere mein diya rakhna tha
tu ujale mein hi baal aaya hai
hum ne socha tha jawab aaega
ek behuda sawal aaya hai
- Book : Saye mein dhoop (Pg. 44)
- Author : Dushyant Kumar
- Publication : Radha krishna Prakashan.Pvt.Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.