jahan jate hain hum koi kahani chhoD jate hain
jahāñ jaate haiñ ham koī kahānī chhoḌ jaate haiñ
zarā sā pyaar thoḌī sī javānī chhoḌ aate haiñ
kahānī raam kī van-vāsiyoñ par faḳhr kartī hai
usūloñ ke liye jo rājdhānī chhoḌ aate haiñ
hamāre mai-kade kā ḳhaas ye dastūr hai vaa.iz
yahāñ aa.e to bāhar bad-gumānī chhoḌ aate haiñ
kahīñ par dil nahīñ miltā kahīñ mahfil nahīñ miltī
isī chakkar meñ ham shāmeñ suhānī chhoḌ aate haiñ
kabhī jab ḳhud se milne kī zarūrat pesh aatī hai
sunahre ḳhvāb bāteñ āsmānī chhoḌ aate haiñ
mohabbat meñ 'uday' denā na dil kam-zarf logoñ ko
na.ī kī dhun meñ jo chīzeñ purānī chhoḌ aate haiñ
jahan jate hain hum koi kahani chhoD jate hain
zara sa pyar thoDi si jawani chhoD aate hain
kahani ram ki wan-wasiyon par faKHr karti hai
usulon ke liye jo rajdhani chhoD aate hain
hamare mai-kade ka KHas ye dastur hai waiz
yahan aae to bahar bad-gumani chhoD aate hain
kahin par dil nahin milta kahin mahfil nahin milti
isi chakkar mein hum shamen suhani chhoD aate hain
kabhi jab KHud se milne ki zarurat pesh aati hai
sunahre KHwab baaten aasmani chhoD aate hain
mohabbat mein 'uday' dena na dil kam-zarf logon ko
nai ki dhun mein jo chizen purani chhoD aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.