jo KHamoshi se hasil ho raha hai
jo ḳhāmoshī se hāsil ho rahā hai
mire lahje meñ shāmil ho rahā hai
mujhe bachnā paḌegā ab to us se
agar vo shaḳhs manzil ho rahā hai
maiñ āñkhoñ ko bhigonā chāhtā huuñ
bahut patthar mirā dil ho rahā hai
usī patthar se lahreñ ug rahī haiñ
vahī patthar jo sāhil ho rahā hai
maiñ koshish kar rahā huuñ kah sakūñ vo
ka.ī din se jo mushkil ho rahā hai
maiñ kitnī baar us se mil chukā huuñ
bichhaḌne par vo hāsil ho rahā hai
jo KHamoshi se hasil ho raha hai
mere lahje mein shamil ho raha hai
mujhe bachna paDega ab to us se
agar wo shaKHs manzil ho raha hai
main aankhon ko bhigona chahta hun
bahut patthar mera dil ho raha hai
usi patthar se lahren ug rahi hain
wahi patthar jo sahil ho raha hai
main koshish kar raha hun kah sakun wo
kai din se jo mushkil ho raha hai
main kitni bar us se mil chuka hun
bichhaDne par wo hasil ho raha hai
- Book : Lafz Magazine-August To Octobar-2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.