jo nazar nazar se mila sake mujhe us nazar ki talash hai
jo nazar nazar se mila sake mujhe us nazar ki talash hai
Ram Parkash Goyal
MORE BYRam Parkash Goyal
jo nazar nazar se milā sake mujhe us nazar kī talāsh hai
huī jis se koī ḳhatā nahīñ mujhe us bashar kī talāsh hai
mirī zindagī ke sukh aur dukh ye to raat din kī tarah se haiñ
jo na pahuñche shaam talak kabhī mujhe us sahar kī talāsh hai
mujhe lag rahā hai ki nā-ḳhudā nahīñ apne hosh-o-havās meñ
jo safīna paar lagā sake usī bā-hunar kī talāsh hai
ka.ī moḌ aa.e hayāt meñ kabhī sukh milā kabhī dukh milā
maiñ huuñ aaj aise maqām par jahāñ dīda-var kī talāsh hai
kiye maiñ ne kitne gunāh haiñ nahīñ us kā koī hisāb hai
jo muaaf phir bhī mujhe kare kisī us nazar kī talāsh hai
maiñ bhaTak rahā huuñ idhar-udhar kabhī is ke dar kabhī us ke dar
jo milā sake mujhe mujh hī se usī rāhbar kī talāsh hai
jo nazar nazar se mila sake mujhe us nazar ki talash hai
hui jis se koi KHata nahin mujhe us bashar ki talash hai
meri zindagi ke sukh aur dukh ye to raat din ki tarah se hain
jo na pahunche sham talak kabhi mujhe us sahar ki talash hai
mujhe lag raha hai ki na-KHuda nahin apne hosh-o-hawas mein
jo safina par laga sake usi ba-hunar ki talash hai
kai moD aae hayat mein kabhi sukh mila kabhi dukh mila
main hun aaj aise maqam par jahan dida-war ki talash hai
kiye main ne kitne gunah hain nahin us ka koi hisab hai
jo muaf phir bhi mujhe kare kisi us nazar ki talash hai
main bhaTak raha hun idhar-udhar kabhi is ke dar kabhi us ke dar
jo mila sake mujhe mujh hi se usi rahbar ki talash hai
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 44)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.