kahin par aadmi bhi sar jhuka ke
kahīñ par aadmī bhī sar jhukā ke
bulātā hai zamīñ ko muskurā ke
guzarte vaqt se āñkheñ milā ke
bujhe ham bhī magar sham.eñ jalā ke
usī ne phir mujhe apnā kahā hai
bhulā detā hai jo apnā banā ke
charāġhoñ kī himāyat kar rahā hai
rahā hai saath jo aksar huā ke
sitāroñ meñ unheñ ham DhūñDhte haiñ
ga.e duniyā se jo dāman chhuḌā ke
kabhī kahte haiñ ham dhartī ko maañ bhī
kabhī hote haiñ ḳhush qīmat lagā ke
baḌā kyā ḳhaak ho pā.egā 'dānish'
koī bhī farz se āñkheñ churā ke
kahin par aadmi bhi sar jhuka ke
bulata hai zamin ko muskura ke
guzarte waqt se aankhen mila ke
bujhe hum bhi magar shamen jala ke
usi ne phir mujhe apna kaha hai
bhula deta hai jo apna bana ke
charaghon ki himayat kar raha hai
raha hai sath jo aksar hua ke
sitaron mein unhen hum DhunDhte hain
gae duniya se jo daman chhuDa ke
kabhi kahte hain hum dharti ko man bhi
kabhi hote hain KHush qimat laga ke
baDa kya KHak ho paega 'danish'
koi bhi farz se aankhen chura ke
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.