kahin pe dhup ki chadar bichha ke baiTh gae
kahīñ pe dhuup kī chādar bichhā ke baiTh ga.e
kahīñ pe shaam sirhāne lagā ke baiTh ga.e
jale jo ret meñ talve to ham ne ye dekhā
bahut se log vahīñ chhaT-paTā ke baiTh ga.e
khaḌe hue the alāvoñ kī aañch lene ko
sab apnī apnī hathelī jalā ke baiTh ga.e
lahū-luhān nazāroñ kā zikr aayā to
sharīf log uThe duur jā ke baiTh ga.e
ye soch kar ki daraḳhtoñ meñ chhāñv hotī hai
yahāñ babūl ke saa.e meñ aa ke baiTh ga.e
kahin pe dhup ki chadar bichha ke baiTh gae
kahin pe sham sirhane laga ke baiTh gae
jale jo ret mein talwe to hum ne ye dekha
bahut se log wahin chhaT-paTa ke baiTh gae
khaDe hue the alawon ki aanch lene ko
sab apni apni hatheli jala ke baiTh gae
lahu-luhan nazaron ka zikr aaya to
sharif log uThe dur ja ke baiTh gae
ye soch kar ki daraKHton mein chhanw hoti hai
yahan babul ke sae mein aa ke baiTh gae
- Book : saaye mein dhoop (Pg. 23)
- Author : Dushyant Kumar
- Publication : Radha krishna private limited (1975,1995)
- Edition : 1975,1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.