kai din se use dekha nahin hai
ka.ī din se use dekhā nahīñ hai
maiñ kuchh bīmār huuñ aisā nahīñ hai
butoñ se dair ke shikva nahīñ hai
jo suntā hai vahī suntā nahīñ hai
hamāre dil meñ mauzūñ hai tirā ġham
jahāñ jo chiiz hai bejā nahīñ hai
manāzir kī kiye jaatā huuñ puujā
ḳhudā ko aañkh se dekhā nahīñ hai
nahīñ jaate vo mere sāmne se
samajhte haiñ abhī dekhā nahīñ hai
mirī āñkheñ mirā manshā mirā dil
nahīñ vo bā-vafā achchhā nahīñ hai
taḌap dil kī kahāñ tak chhup sakegī
zamāna dekhne vaalā nahīñ hai
tire qadmoñ pe mauzūñ hai mirā sar
jahāñ jo chiiz hai bejā nahīñ hai
tujhe ai 'shād' ḳhuddārī mubārak
magar duniyā kā ye sheva nahīñ hai
kai din se use dekha nahin hai
main kuchh bimar hun aisa nahin hai
buton se dair ke shikwa nahin hai
jo sunta hai wahi sunta nahin hai
hamare dil mein mauzun hai tera gham
jahan jo chiz hai beja nahin hai
manazir ki kiye jata hun puja
KHuda ko aankh se dekha nahin hai
nahin jate wo mere samne se
samajhte hain abhi dekha nahin hai
meri aankhen mera mansha mera dil
nahin wo ba-wafa achchha nahin hai
taDap dil ki kahan tak chhup sakegi
zamana dekhne wala nahin hai
tere qadmon pe mauzun hai mera sar
jahan jo chiz hai beja nahin hai
tujhe ai 'shad' KHuddari mubarak
magar duniya ka ye shewa nahin hai
- Book : Lafz Magazine-01 Feb-2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.