kaun kahta hai ki ye zist saja hai mujhko
kaun kahtā hai ki ye ziist sazā hai mujh ko
ek uljhā huā kirdār milā hai mujh ko
mujh ko in.aam mile yā mirī rusvā.ī ho
kuchh ta.alluq bhalā is baat se kyā hai mujh ko
chand lamhe to mirī umr meñ aise aa.e
dushmanoñ se bhī bahut pyaar milā hai mujh ko
kis tarah umr kā dushvār safar tai hogā
biich raste meñ koī chhoḌ gayā hai mujh ko
mujh ko ḳhud se na ḳhudā se hai shikāyat 'manzar'
jo bhī kuchh thā mire hisse kā milā hai mujh ko
kaun kahta hai ki ye zist saza hai mujh ko
ek uljha hua kirdar mila hai mujh ko
mujh ko inam mile ya meri ruswai ho
kuchh talluq bhala is baat se kya hai mujh ko
chand lamhe to meri umr mein aise aae
dushmanon se bhi bahut pyar mila hai mujh ko
kis tarah umr ka dushwar safar tai hoga
bich raste mein koi chhoD gaya hai mujh ko
mujh ko KHud se na KHuda se hai shikayat 'manzar'
jo bhi kuchh tha mere hisse ka mila hai mujh ko
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 268)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.