KHizan wo mere liye yun bahaar karta tha
ḳhizāñ vo mere liye yuuñ bahār kartā thā
maiñ apne zaḳhm guloñ meñ shumār kartā thā
zamāne bhar se mujhe hoshiyār kartā thā
agarche ḳhud vahī merā shikār kartā thā
amīr-e-shahr ne is ko bhī jurm Thahrāyā
ġharīb lafzoñ ko maiñ bā-vaqār kartā thā
use na rok sakī kashtiyoñ kī majbūrī
vo hausloñ se hī dariyā ko paar kartā thā
sukūn pyaar vafā dostī ravā-dārī
vo kyā thā jis kā bashar intizār kartā thā
KHizan wo mere liye yun bahaar karta tha
main apne zaKHm gulon mein shumar karta tha
zamane bhar se mujhe hoshiyar karta tha
agarche KHud wahi mera shikar karta tha
amir-e-shahr ne is ko bhi jurm Thahraya
gharib lafzon ko main ba-waqar karta tha
use na rok saki kashtiyon ki majburi
wo hauslon se hi dariya ko par karta tha
sukun pyar wafa dosti rawa-dari
wo kya tha jis ka bashar intizar karta tha
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.