KHun ke har ek sawal ka zinda jawab hun
ḳhuuñ ke har ik savāl kā zinda javāb huuñ
ai shā.ir-e-shabāb tirā intiḳhāb huuñ
kahte haiñ mujh ko log na.e daur kā ḳhudā
kaise kahūñ ki un kī sadāqat kā ḳhvāb huuñ
dast-e-duā huuñ mādar-e-hindostān kā
mehnat kī roTiyoñ meñ jhalaktā savāb huuñ
guzregī is maqām se jab āḳhirī sadī
paḌhte mileñge log jise vo kitāb huuñ
qaumoñ ke rahnumāoñ se jā kar kaho 'shalabh'
jis ko vo DhūñDte haiñ vahī inqalāb huuñ
KHun ke har ek sawal ka zinda jawab hun
ai shair-e-shabab tera intiKHab hun
kahte hain mujh ko log nae daur ka KHuda
kaise kahun ki un ki sadaqat ka KHwab hun
dast-e-dua hun madar-e-hindostan ka
mehnat ki roTiyon mein jhalakta sawab hun
guzregi is maqam se jab aaKHiri sadi
paDhte milenge log jise wo kitab hun
qaumon ke rahnumaon se ja kar kaho 'shalabh'
jis ko wo DhunDte hain wahi inqalab hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.