kisi ki yaad to aai bahut hai
kisī kī yaad to aa.ī bahut hai
magar is raah par kaa.ī bahut hai
bahut hī ḳhūbsūrat moḌ par huuñ
yahāñ Thahrūñ to rusvā.ī bahut hai
ai dariyā-dil mujhe patthar banā de
tirī duniyā tamāshā.ī bahut hai
maiñ ḳhushiyoñ se kahāñ nā-āshnā huuñ
ġhamoñ se bhī shanāsā.ī bahut hai
maiñ apnī pyaas meñ Duubā huā huuñ
yahāñ dariyā kī gahrā.ī bahut hai
kisi ki yaad to aai bahut hai
magar is rah par kai bahut hai
bahut hi KHubsurat moD par hun
yahan Thahrun to ruswai bahut hai
ai dariya-dil mujhe patthar bana de
teri duniya tamashai bahut hai
main KHushiyon se kahan na-ashna hun
ghamon se bhi shanasai bahut hai
main apni pyas mein Duba hua hun
yahan dariya ki gahrai bahut hai
- Book : Gazal,Dushyant Ke Bad-volume-3
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.