koi aansu nahin jugnu nahin tara bhi nahin
koi aansu nahin jugnu nahin tara bhi nahin
Indr Mohan Mehta Kaif
MORE BYIndr Mohan Mehta Kaif
koī aañsū nahīñ jugnū nahīñ taarā bhī nahīñ
hijr kī raat meñ itnā sā ujālā bhī nahīñ
zabt-e-ehsās kī rut ne jise paalā hai vo phuul
khul ke mahkā bhī nahīñ TuuT ke bikhrā bhī nahīñ
raushnī aur baḌhāo ki mile kuchh to surāġh
ab mire jism meñ shāyad mirā saaya bhī nahīñ
kitnā vīrāna huā jaatā hai yādoñ kā safar
ab jahāñ tak chale jaao koī saaya bhī nahīñ
ek uljhan use apnā bhī kahūñ to kaise
aur parāyā use samjhūñ to parāyā bhī nahīñ
koi aansu nahin jugnu nahin tara bhi nahin
hijr ki raat mein itna sa ujala bhi nahin
zabt-e-ehsas ki rut ne jise pala hai wo phul
khul ke mahka bhi nahin TuT ke bikhra bhi nahin
raushni aur baDhao ki mile kuchh to suragh
ab mere jism mein shayad mera saya bhi nahin
kitna virana hua jata hai yaadon ka safar
ab jahan tak chale jao koi saya bhi nahin
ek uljhan use apna bhi kahun to kaise
aur paraya use samjhun to paraya bhi nahin
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.