Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya zaruri hai ki ho tyauhaar ki har raushni

Budhisena Sharma

kya zaruri hai ki ho tyauhaar ki har raushni

Budhisena Sharma

MORE BYBudhisena Sharma

    kyā zarūrī hai ki ho tyauhār har raushnī

    aag lagne se bhī ho jaatī hai aksar raushnī

    khiḌkiyoñ ko band rakhne mazā ham ga.e

    de ke dastak phir ga.ī bāhar bāhar raushnī

    shart ye hai sauñp deñ ham apnī bīnā.ī unheñ

    phir to vo dete raheñge zindagī bhar raushnī

    rāsta to ek thā ye kidhar se aa ga.e

    bichh ga.ī kyuuñ un ke nīche ban ke chādar raushnī

    sub.h aa jaatī hai jaise azhdahe ke peT meñ

    raat hotī hai to hotī hai mayassar raushnī

    apnī sāzish meñ havā.eñ ho ga.iiñ phir kāmyāb

    rah ga.ī phir bādaloñ ke biich phañs kar raushnī

    ḳhud chamakte haiñ hamesha raat kar panāh

    ye sitāre kyā bhalā bāñTeñge ghar ghar raushnī

    yuuñ savā-neze pe sūraj to kabhī pahle na thā

    thī magar pahle na thī itnī bhayankar raushnī

    ham diloñ se dil milāte haiñ nigāhoñ se nigāh

    raushnī se kar rahe haiñ ham ujāgar raushnī

    kya zaruri hai ki ho tyauhaar ki har raushni

    aag lagne se bhi ho jati hai aksar raushni

    khiDkiyon ko band rakhne ka maza hum pa gae

    de ke dastak phir gai bahar ki bahar raushni

    shart ye hai saunp den hum apni binai unhen

    phir to wo dete rahenge zindagi bhar raushni

    rasta to ek hi tha ye kidhar se aa gae

    bichh gai kyun un ke niche ban ke chadar raushni

    subh aa jati hai jaise azhdahe ke peT mein

    raat hoti hai to hoti hai mayassar raushni

    apni sazish mein hawaen ho gain phir kaamyab

    rah gai phir baadalon ke bich phans kar raushni

    KHud chamakte hain hamesha raat ki pa kar panah

    ye sitare kya bhala banTenge ghar ghar raushni

    yun sawa-neze pe suraj to kabhi pahle na tha

    thi magar pahle na thi itni bhayankar raushni

    hum dilon se dil milate hain nigahon se nigah

    raushni se kar rahe hain hum ujagar raushni

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now