lauT aae to hamari haar hai
luuT aa.e to hamārī haar hai
jānte haiñ rāsta dushvār hai
kaun hai jis ne bujhā Daale charāġh
tīrgī kā kaun pahre-dār hai
jis taraf chāhe safīna moḌ do
ab tumhāre haath meñ patvār hai
maiñ akelā ho gayā huuñ shahr meñ
jis ko dekho sāhab-e-kirdār hai
apnī qīmat sun ke kyuuñ māyūs ho
shahr meñ kyā ek hī bāzār hai
kaun hai mahfūz ab is shahr meñ
har kisī ke haath meñ talvār hai
aarzū to kar rahe ho dasht kī
dasht bhī lekin samundar paar hai
luT aae to hamari haar hai
jaante hain rasta dushwar hai
kaun hai jis ne bujha Dale charagh
tirgi ka kaun pahre-dar hai
jis taraf chahe safina moD do
ab tumhaare hath mein patwar hai
main akela ho gaya hun shahr mein
jis ko dekho sahab-e-kirdar hai
apni qimat sun ke kyun mayus ho
shahr mein kya ek hi bazar hai
kaun hai mahfuz ab is shahr mein
har kisi ke hath mein talwar hai
aarzu to kar rahe ho dasht ki
dasht bhi lekin samundar par hai
- Book : Lafz Magazine-01 Dec-10 to 28 Feb-11
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.